
Xiaomi India ne aaj Twitter par apna first 108MP camera phone tease kiya hai. Well, phone ka naam yahaan par company ne disclose nahin kiya, lekin bahut had tak expected hai ki ye Mi CC9 Pro ka global version Mi Note 10 hi hoga.
Is upcoming smartphone ko tease karte huye Xiaomi India Head, Manu Kumar Jain ke likha hai ki, “ITS COMING #108MP”. Xiaomi ka 108MP camera phone Mi CC9 Pro hai, jo ki China mein isi month starting mein launch kiya gaya hai. Iske thik baad iska global version Mi Note 10 bhi thik iske agle din company ne reveal kiya. Isi handset ko India mein ab company jaldi launch karne waali hai.
Mi Note 10 mein sirf 108MP camera hi nahin, balki penta camera set up ke saath aane waala bhi ye Xiaomi ka first smartphone hai.
China mein Mi CC9 Pro ke three storage versions announce kiye gaye the, jinki kimat 2799 yuan (approx. 28,000 INR) se start hoti hai. India mein is upcoming handset ki starting price almost 30,000 INR expect ki jaa rahi hai.
Is handset ke specs aap neeche table mein check kar sakte hain.

Key Specifications Of Mi Note 10:
Model | Mi Note 10 |
Display | 6.47-inch full HD+ AMOLED display with 600 nits brightness & Corning Gorilla 5 protection |
Processor | (2 cores x 2.2 GHz & 6 cores x 1.8 GHz) Octa-Core Qualcomm Snapdragon 730G processor |
RAM | 6GB / 8GB LPDDR4x RAM |
Storage | 128GB / 256GB UFS 2.1 storage |
Battery | 5260mAh battery, 30W fast charging support |
Camera | 108MP rear camera (1/ 1.33″ Samsung HMX sensor, f/1.69 aperture, OIS, 7P lens), 20MP (117° ultra-wide angle lens),12MP (1/2.6-inch 2PD sensor for 2x zoom), 5MP (telephoto lens, 5x optical zoom, 10x hybrid zoom & 50x digital zoom) , 2MP macro lens |
Front Camera | 32MP (f/2.0 aperture) |
Software | Android 9.0 Pie OS with MIUI 11 |
Price | To Be Announced |