
Vivo Y19 company ka latest mid-range smartphone hai, jo ki India mein aaj launch kiya gaya hai. Is handset ko aap Magnetic Black & Spring White color options mein kharid sakte hain. Vivo Y19 aaj se hi India ke leading offline stores par available hoga. Saath hi leading online retailers jaise ki vivo India E-store, Flipkart, Amazon, etc. par bhi 20th November se available hoga. Is handset ko haal hi mein China mein Y5s ke naam se announce kiya gaya tha.
ALSO READ: Vivo S5 New Design & Quad Rear Camera Ke Saath Announce Hua, Ye Hoga Price
Highlights:
- Is handset mein aapko 5000mAh ki gaint battery, 18W fast charging support ke saath milegi.
- Phone mein full HD+ display hai aur rear panel par triple rear sensors hain.
- Well, yahaan par primary sensor 16MP ka hai, lekin isi same price mein ab kayi phone aapko 48MP aur 64MP ke primary sensors offer kar rahe hain. To is price par ye camera sensor ek kami nazar aati hai.
- Phone mein dual SIM slots ke saath dedicated microSD card slot bhi hai.

Key Specifications of Vivo Y19:
Model | Vivo Y19 |
Display | 6.53-inch full HD+ display |
Processor | (4 Cortex A75 cores x 2.0 GHz + 4 Cortex A55 cores x 2.0 GHz) Octa Core MediaTek Helio P65 12nm chipset |
RAM | 4GB |
Storage | 128GB UFS 2.1 storage (expandable with up to 256GB) |
Battery | 5000mAh, 18W fast charging support |
Camera | 16MP primary rear camera (Sony IMX499 sensor, f/1.78 aperture), 8 MP (120 degree ultra wide angle lens, f/2.2 aperture) 2MP (for 4cm macro shots, f/2.4 aperture) |
Front Camera | 16MP front camera (f/2.0 aperture) |
Software | Android 9.0 Pie OS with Funtouch OS 9.2 |
Price | 13,999 INR |
Facebook Comments