
Realme ne finally aaj India mein apna flagship smartphone Realme X2 Pro launch kar diya hai. Isi ke saath Realme 5s ne bhi India mein entry ki hai. Filhaal hum baat kar rahe hain Realme X2 Pro ki jo ki 26th November se Flipkart aur realme.com par invite-only sale mein available hoga. Is handset mein aapko Neptune Blue & Lunar White color options milenge.
Highlights:
- Realme X2 Pro mein Snapdragon 855 Plus chipset hai, jo ki SD855 ka upgraded version hai aur usse around 15-20% faster hai.
- Is handset mein 90Hz refresh rate ke saath full HD+ display di gayi hai.
- Iske alawa ismein aapko 50W Super VOOC 4.0 fast charging support mila hai, jo ki phone ki 4000mAh ki battery ko kewal 30 minutes mein full charge karta hai.
- Saath hi aapko ismein 64MP primary camera ke saath quad rear camera setup milta hai.
- Is phone mein company ne UFS 3.0 storage di hai aur 12GB tak ki RAM moujood hai.

Key Specifications of Realme X2 Pro:
Model | Realme X2 Pro |
Display | 6.55 inch full HD+ 90Hz AMOLED display with HDR10+ support & Corning Gorilla Glass 5 resistance |
Processor | Octa Core Qualcomm snapdragon 855+ 7nm processor |
RAM | 6GB / 8GB / 12GB |
Storage | 64GB / 128GB / 256GB UFS 3.0 storage (not expandable) |
Battery | 4000mAh, 50W VOOC 4.0 fast charging support |
Camera | 64MP primary rear camera (Samsung GW1 sensor, f/1.8 aperture, LED flash light, EIS), 13MP (telephoto lens, f/2.5 aperture for 20x hybrid zoom, 2.5cm macro shots), 8MP (115 degree ultra wide angle lens, f/2.2 aperture), 2 MP (depth sensor, f/2.4 aperture) |
Front Camera | 16MP front facing camera (Sony IMX471 sensor, f/2.0 aperture) |
Software | Android 9.0 Pie OS with Color OS 6.1 |
Price | 8GB+128GB – 29,999 INR 12GB+256GB – 33,999 INR |
Facebook Comments