
Realme 3 Pro ke leaks, aur rumors se ye expect kiya jaa raha tha ki Realme 3 Pro ko company jaldi hi launch kar sakti hai. Lekin aaj Realme CEO Madhav Seth ke Tweet kiye gaye camera samples ke baad, ye clear hai ki company bahut hi jaldi is upcoming smartphone ko launch karne waali hai.
Realme CEO Madhav Seth ne Twitter handle par Realme 3 Pro ke kuch camera samples share kiye hain aur Tweet bhi kiya hai ki “How’s the camera quality?” Aaiye aapko bhi ye tasveerein dikhaate hain, phir aap bataaiyega ki aapko camera quality kaisi lagi. Saath hi is twwet mein Mr. Seth ne ye bhi confirm kiya hai ki Realme 3 Pro ko college campus mein launch kiya jayega.
Madhav Seth ne three pictures post ki hain, jinmein se ek selfie hai aur two images rear cameras se click ki gayi hain. Yahaan par selfie ko dekhkar expect kiya jaa raha hai ki camera ka resolution 12 MP se jyada hai, saath hi rumors ye hain ki Realme 3 Pro mein 25 MP ka selfie shooter hoga.
Hope you guys had a wonderful weekend.
I am @DelhiUniversity stadium with a bunch of cool students.
yes we are going to launch #realme3Pro in campus again
By the way how's the camera quality ?RT's as I will invite 3 fans to join me on stage. pic.twitter.com/T8V3VysIGw
— Madhav Sheth (@MadhavSheth1) April 8, 2019
Iske alawa rear cameras se li gayi pictures mein auto HDR mode ki jhalak hai. Saath hi pehle aayi khabar ki ye Redmi Note 7 Pro ka strong competitor hoga, se ye bhi saaf hai ki ismein bhi 48 MP ka primary camera aur Snapdragon 675 chipset ya Snapdragon 710 chipset diya jaa sakta hai.
How about playing #Fortnite on #realme3Pro? I believe #realme3Pro will be the 1st in its segment that can directly support it. Tried to play this game on some latest "Pro" devices but none of them could manage. When it comes to speed, chipset matters.
RT to win 1 Rm3pro. pic.twitter.com/j5SKOrXA2g— Madhav Sheth (@MadhavSheth1) April 10, 2019
Well, saamne aaye Realme CEO ke tweets se ye saaf hai ki is smartphone ka launch ab jyada door nahin hai. Saath hi ek aur tweet se ye bhi unhone confirm kiya hai ki is smartphone mein aapko popular game “Fortnite” ka directly support milne waala hai. Aur is tweet mein ye bhi mention hai ki “When it comes to speed, chipset matters.” Yaani ki yahaan aapko powerful chipset milna bhi tay hai.