
Infinix ne India mein apne ek aur entry level smartphone, Infinix S5 Lite ko bhadiya specs ke saath launch kar diya hai. Phone ki highlight mein iska punch hole selfie camera hai. Phone mein aapko Quetzal Cyan, Midnight Black aur Violet color option mil jaate hain. Infinix S5 Lite ki sale India mein Flipkart par 22nd November se shuru ki jaayegi.
Highlights
- Iss phone mein aapko 16MP ka in-screen front camera milta hai.
- Phone ke rear panel par physical finger print scanner diya gaya hai.
- Phone ke rear panel par aapko 3D Crystal Feather Glass Design milta hai.
- Phone ke front camera mein Super Pixel Technology ka use kiya gaya hai, jisse aapko front camera mein AI beauty mode, hybrid focus, AI scene detection jaise features mil jaate hain.
- Iss phone mein aapko dual SIM ke saath ek microSD card slot ka support milta hai. Saath hi phone ki storage ko microSD card ki help se 256GB tak expand kiya jaa sakta hai.
Key Specifications OF Infinix S5 Lite
Model | Infinix S5 Lite |
Display | 6.6-inch HD+ display |
Processor | 2GHz Octa-Core MediaTek Helio P22 (MT6762) |
RAM | 4GB |
Storage | 64GB |
Battery | 4000mAh |
Software | Android 9.0 (Pie) with XOS 5.5 |
Rear Camera | 16MP (f/1.8 aperture), 2MP Depth Sensor, VGA Low light Sensor |
Front Camera | 16MP (f/2.0 aperture) |
Price |
|
Facebook Comments