
PM Narendra Modi ne aaj desh ki sabse tej chalne wali train ‘Train 18 Vande Bharat Express’ ko hari jhandi dikha kar shuru kar diya hai. Yeh desh mein bani pehli semi-high speed train hai. Vande Bharat Express ki kuch khaas baatein hain jo ise baaki trains alag banati hai. Aaiye aapko iss train ke baare mein kuch khaas baatein batate hain.
Yeh train Delhi se Varanasi aur Varanasi se Delhi ke liye chalayi gayi hai. Jiska Delhi se Varanasi jaane ka samay subah 6 AM rahega wahin Varanasi se aane ka samay dopahar 3 PM rakha gaya hai. Yeh train travel ke duaraan single route par total 755 km ki distance ko 8 hours mein cover karegi. Traveling duration mein aapko ismein food facility bhi provide ki jaaegi. Lekin agar aap chahe ki iss food service ko na liya jaaye to aisa nahi ho sakta hai. Abhi tak aapko yeh option Satabadi, Duranto Express jaisi trains mein diya jaata tha jahan aap chahe to food service lene se mana kar sakte the. Yeh option aapko ticket booking ke samay diya jaata tha, lekin Vande Bharat Express ke saath aisa nahi hai.
Vande Bharat Express mein 2 tarah ke sitting system coach diye gaye hain, jismein Chair Car (CC) aur Executive Class (EC) include hai. Jahan ismein 12 coach Chair Car ke aur 2 coach Executive Class ke rakhe gaye hain. India mein bani iss train ko banne mein total 18 months ka samay laga hai, jahan iski investment value Rs 100 Crore batayi gayi hai. Ise Chennai ki Integral Coach Factory mein banaya gaya hai. Sources ki according bataya gaya hai ki agar iss train ko videsh se import kiya jaata to iski value Rs 170 Crore aa sakti thi. Jahan ise Make in India program ke dauraan India mein bana kar Rs 70 Crore save kiye gaye hain.
Vande Bharat Express Train ke interior ki baat karein to iss train mein 360 degree rotate hone wali seats lagayi gayi hain jinhe Spain se import kiya gaya hai. Iss train mein 78 Chair Car seats hain aur 56 Executive Class seats di gayi hain. Train mein handicapped passengers ke liye special bathroom aur baby care ke liye separate space banaya gaya hai. Train mein CCTV camera bhi lagaye gaye hain. Jismein ek CCTV camera driver coach mein aur 6 CCTV camera har ek passenger coach mein laga hua hai. Train mein talk back service bhi available hai jis se ki emergency situation mein aap seedhe driver se baat kar sakein. Iske alawa har ek coach mein emergency switches bhi lage huye hain, jise press kar aap driver ko alert kar sakte hain.
Iss train ke gate automatic hain jaise ki metro trains mein hote hain. Yeh gate sirf station par hi open aur close honge. Yeh safety ke purpose se ek acha option diya gaya hai. Yeh train apne travel time mein sirf 2 stoppage par rukegi jismein Kanpur railway station aur Allahabad (Prayagraj) Railway Station include hai. Aam janta ke liye iss train ko 18th February se shuru kiya jaaega. Ab baat kar lete hain iske fare charges matlab ticket price ki. Alag alag railway station se iss train ka fare charges alag alag jise aap neeche list mein dekh sakte hain. Iss fare charge mein food service bhi include hai.
Station Name AC CC Fare Executive Fare
Delhi To Varanasi Rs 1,760 Rs 3,310
Varanasi To Delhi Rs 1,700 Rs 3,260
Delhi To Kanpur Rs 1,090 Rs 2,105
Kanpur To Delhi Rs 1,205 Rs 2,210
Kanpur To Allahabad Rs 5,95 Rs 1,170
Allahabad To Kanpur Rs 6,56 Rs 1,260
Allahabad To Varanasi Rs 4,60 Rs 9,05
Kanpur To Varanasi Rs 1,020 Rs 1,815
Delhi To Allahabad Rs 1,395 Rs 2,750
Varanasi To Kanpur Rs 8,45 Rs 1,665
Allahabad To Delhi Rs 1,560 Rs 2,995
Varanasi To Allahabad Rs 4,60 Rs 9,05