
Techno ne aaj India mein apna latest budget phone Tecno Camon 12 launch kiya hai. Is handset ko punch-hole display ke saath introduce kiya gaya hai, jise company ne “Dot in Display” kaha hai. Saath hi ismein aapko triple rear cameras bhi diye jayenge.
Highlights:
- Tecno Camon 12 mein 10K ke budget mein aapko punch-hole selfie camera ke saath handset mil raha hai.
- Saath hi 16MP primary camera ke saath ismein aapko triple rear cameras bhi diye gaye hain.
- Is handset ko most affordable punch-hole selfie camera ke saath aane waale phone ka khitaab bhi haasil hai.
- Lekin yahaan aapko full HD+ nahin, balki HD+ display mil rahi hai.
- Iske alawa ismein aapko sirf 4GB RAM option hi diya gaya hai.
Key Specifications Of Tecno Camon 12:
Model | Tecno Camon 12 |
Display | 6.55 inch HD+ 20:9 display |
Processor | Octa Core MediaTek Helio P22 processor |
RAM | 4GB |
Storage | 64GB (expandable up to 256GB) |
Battery | 4000mAh, no fast charging support |
Camera | 16MP primary rear camera (f/1.8 aperture, quad LED flash light), 5MP (120 degree ultra wide angle lens, f/2.2 aperture), 2 MP (depth sensor, 2.5cm macro shots) |
Front Camera | 8MP front facing camera (f/2.0 aperture, 81 degree wide angle lens) |
Software | Android 10 with Hi Os 5.5 |
Price | 9,999 INR |
Facebook Comments